Azhar alam
FASANA-E ISHQ
Wo byan kar gaya ek manzar aligaar se
Har pal ko trasha or arz kiya apne yar se
 
Kya pata ye sila milta hai dil lagane ka
Pyar ki kashti ko utara tha bade pyar se
 
Jakham jo banta hai wo dikhta nahi jism pe
Or abae chashme bhi rukta nahi abesaar se 
 
Aksar roshni se ek aas dikhti hai zindagi ki
Chiraghein jalaei baitha hai us intezar se
 
Arzemand hai wo sabar rakhte hai nasaaz ke baad
Jeete hai wo hamesha akubat ke ashrar se
 
Qamar ki chandani rato me wo pal yaad aye to 
Dua karna ki shifa mile parwar digar se
 
https://truml.com