17 july 2014
Akelapan
Fakhar karta hai khud pe fighar karke akelapan
Bahein filaye baitha hai firaq me akelapan
 
Har simt gulshan me bhi hamesha akela hi raha
Saaye ki tarah lipta hai har waqt akelapan
 
Main chal raha tha bheed me tanhai ko soch soch kar
Awaaz de raha tha har shay me akelapan
 
Furkat ko dekh dekh kar khush hota hai wo har ghadi
Fitrat se aa baitha hai mere daman me akelapan
 
Khushi ka talab kiya to kismat bhi saath chhod diya
Wo le gaya khushi ka pal or de gaya akelapan
 Poetry
Poetry Prose
Prose Photography
Photography Graphics
Graphics Video poems
Video poems Postcards
Postcards Diary
Diary Books
Books Handmade
Handmade