Azhar alam, 17 lipca 2014
bewafa naam hai mohabbat me chod jane ka,
kyu intezar ab bhi itna hai uske aane ka.
wo gayi to meri duniya khilawat sa ho gaya
or khilawat kar diya is duniya me mere ashiyane ka.
Azhar alam, 17 lipca 2014
Aaghaz mohabbat ka ek daur aisa tha
Farsh pe thamte nahi the kadam uske
Mila sila muhabbat me judai ka to
Anjam ki surat dekh tham gaye faham uska
Azhar alam, 17 lipca 2014
Aabae talkh ko seene se lagane wale
Be aabru me aane ka intezar to kar
Bana lete hai zindagi ka tabiyat ise
Bad anzam ki ghadi ka intezar to kar
Azhar alam, 17 lipca 2014
Fakhar karta hai khud pe fighar karke akelapan
Bahein filaye baitha hai firaq me akelapan
Har simt gulshan me bhi hamesha akela hi raha
Saaye ki tarah lipta hai har waqt akelapan
Main chal raha tha bheed me tanhai ko soch soch kar
Awaaz de raha tha har shay me akelapan
Furkat ko dekh dekh kar khush hota hai wo har ghadi
Fitrat se aa baitha hai mere daman me akelapan
Khushi ka talab kiya to kismat bhi saath chhod diya
Wo le gaya khushi ka pal or de gaya akelapan
Regulamin | Polityka prywatności
Copyright © 2010 truml.com, korzystanie z serwisu oznacza akceptację regulaminu.